One of the most unspoken and precious relationships is between a father and a son. Fathers are there for us from the moment we are born and in each stage of life childhood, teenage and adulthood, they are always there for us and they never stop providing. They want to give better daily even if they have to sacrifice their requirements and desires without thinking. Many of us can’t understand our fathers because he never shares his emotions, his needs, his requirements, his desires.
So, I am trying to share my values and views on father with the help of a poem please try to relate this and try to read till the end:
Nanhi si aankhe or muddi hui ungliyaan thi
Ye baat tab ki hai jab duniya mere liye soyi hui thi
Nanhi si aankhe or muddi hui ungliyaan thi
Ye baat tab ki hai jab duniya mere liye soyi hui thi..
Nangese sharir pe naya kapda pehnata tha
Diwali ki samjh nai thi par phir bhi mere saath manata tha
Ghar mai kayi kamiya thi par FD mai paisa jod raha tha
Or uske khud ke sapne adhure the par mere liye bun raha tha…
Ye baat tab ki thi jab duniyan mere liye soyii hui thi
Waqt kata, saal badhaa
Par tab bhi sab aanjan tha
Mai phir bhi uski jaan tha…
Bistar ko geela karna ho ya phir raato ko rona
Ek baap hi thaa jisse chena maine uskaa sona tha
Subha surja ugne tak godoo me khilata, jhule mai hilata
Fir din mai kamata shaam me chala aata
Kabhi khud se pareshaan kabhi duniya ka sataya tha..
Ek baap hi tha jisne mujhe rote hue hasaya tha
Alfazo se to gunga thaa mai par wo mere ishare samajh raha tha…
Mai khud iss baat se hairan hu aaj ki kal wo mujhe kis tarha padh raha tha..
Papa toh chodo yaar abhi aaa bhi niklaa na tha
Par wo meri har farmaishon ko poora kar raha tha..
Or mai bhi uske laad pyaar me ab dhalne laga tha
Ghar se wo nikal na jaye ab uske kadamo pe nazare rakhne laga tha
Or mudde toh hazar the baazar me uske paas
Par kab dhal jayega suraj usko iska intezaar tha..
Or mai bhi darwaaze ki chaukhat ko taakta rahata thaa
Jab hoti thi dastak toh walker se jhakta rahata tha
Dekhke uski shakal mai dur se chilata thaa..
Jo bhi eshare mujhe aate the, use use apane karib bulata tha
Wo bhi chod chad ke sabkuch mujhe seenese lagata tha
Kabhi hawa mai uchalta tha, kabhi kartab dikhata tha
Meri ek Muskaan ke liye kabhi hathi, kabhi ghoda banjata tha
Or soo saku raat bhar sukun ke sath isiliye puri raat ek karvat me guzarta tha
Isiliye puri raat ek karvat me guzarta tha, par wo bachpan ab so chuka tha
Or mai Jawaani ki dehleez me kadam rakhne laga tha
Uski qurbani ko uska farz samajne laga tha
Chaahe wo phir khud bina pankhe ke sona ho, ya mujhe hawa me sulana
Ya Diwali ka wo khud purana kapda pehenna ho or mujhe naya pehnana
Ya tapte hue bukhar me thande mathe pe rakhi hui pattiya ho
Ya meri har zidd ke aage jhuk jana
Wo bachpan tha wo guzar gaya wo Rishta tha wo sukud gaya
Or mai us qurbani ke bojh ko utha nahi paya isiliye, wo sheher mai kahin dur chod aaya
Naya sheher tha, naye sheher ki hawa mujhpe chadhne lagi thi
Apne baap ki har nasihat mujhe ek bachpana lagne lagi thi
Kaam jo mil gaya tha paisa jo aane laga tha
Kya zarurat he baap ko ye soch mujhme palne lagi thi
Or udhar mera baap baichen tha meri yaad me
Ki kuch roz to ghar aajaa beta bus yehi tha uski shikayat me
Or mai usse hissab lene laga tha jo duniya ka karzdaar banchuka tha
Kya zarurat hai papa itne paise ki ab ye sawaal karne laga tha….
Ki kal kya guzri hogi mere baap pe ab mujhe ye samaj aane laga tha
Bina shart mohabbat ki murat hota hai baap
Jo shabdon me na buna jaye or sihayi se na lika jaye wo hota hai baap
Jo rote hue ko hasade or khud ko mitaa kr tumhe khada kar de
Wo hota hai baap
Or yeh message puri duniya ke liye
Ke ek rozz ek rozz tumhe ehsaas zarur hoga ke vyasth tum he, umardaraz wo hoga
ek rozz ek rozz tumhe ehsaas zarur hoga ke vyasth tum the, umardaraz wo hoga
jiski ungli ka sahara pakad ke chala karte the aaj vahi chhadi ka talpgar hoga
jiski chaaya me jee rahe ho ajj kal wo nah rahe toh kya hoga
par abhi waqt bacha hai kuch khaas tumhare paas
tab tak jab tak baap ka saya tumhare sath hoga or Jannat ki iccha rakhte ho toh seene se laga lena
kyuki vahi kal jaanaat ka sardaar hoga
Sab gile shikve mita ke chipak jana usko
Kyuki aaj toh baap he par wo kal tumhare saath na hoga
wo kal tumhare saath na hoga
or isko mai koi naam nahi de paya kyuki mai baap ko ek labs mai bata nahi paya.
-Dhruv Jain
Hey Dhruv, after reading your blog I completely resonate with you. Being aware of the fact that, Father, the most treasured person in our life , we still lack the courage to express our heartfelt emotions to him. Sometimes it’s even very difficult and awkward to even hug him and say ‘thank you’ for all that he has provided and will still continue to do that forever. You expressed those unsaid emotions so beautifully through your poem which literally made me captive of my thoughts and sentiments. I wish that you and I both overcome our hesitation one day and break this silence between a father and a son.
LikeLiked by 1 person
This blog has made me emotional.
The poem which you’ve phrased is so beautiful and touchy.
You’ve portrayed the relationship between father and son beautifully.
As the time passes and we become mature and independent, we think that now we don’t need anyone, we start ignoring our parents and their decisions, but we forget how they have sacrificed their life to make out life better.
From going to Job then coming home and playing with us to make us smile. Their love is pure and unconditional to us but sometimes we take things for granted.
After reading this blog i got tears in my eyes. Very well written.
LikeLiked by 1 person